Ghazal Mohabbat
|
08-08-2011, 11:49 AM
(This post was last modified: 14-08-2011 08:35 PM by shamsihammad.)
![]() |
||||||||||||
|
||||||||||||
![]()
Jab se ehsas ke sholo ne bhadakna seekha,
Shama-e-zeest ne har pal pighalna seekha... Teri qurbat ne jalaye the jo is dil mei chiragh, Teri doori se chiraghon ne bhadakna seekha... Ek sannata tha, veeran thi guzargah-e-hayaat, Jane kab dil ne mohabbat ko samajhna seekha... Aql waale bhi jahan thokrey kha-kha ke girey, Hum ne us raah se dar-asal sambhalna seekha... Dil ki har baat nigahon se bayaan hoti hai, Yeh nazar milane pe is dil ne samajhna seekha... Seher-e-ulfat se nikal paaya na 'shams' wo kabhi, Jis ne is raaz-e-mohabbat ko samajhna seekha... -- Hammad Shamsi http://hmdfeels.blogspot.com |
||||||||||||
08-08-2011, 07:17 PM
![]() |
||||||||||||
|
||||||||||||
RE: Mohabbat
(08-08-2011 11:49 AM)shamsihammad Wrote: Jab se ehsas ke sholo ne bhadakna seekha, Lines written outside open heart surgery unit;
"Dil khol lete apna jo yaaron ke sath, to aaj kholna na padta auzaaron ke sath" ![]() For newbies; http://readersenclave.com/misc.php?page=help |
||||||||||||
08-08-2011, 10:58 PM
![]() |
||||||||||||
|
||||||||||||
RE: Mohabbat
its mine.. where is your comment manisha...
![]() ![]() -- Hammad Shamsi http://hmdfeels.blogspot.com |
||||||||||||
« Next Oldest | Next Newest »
|
User(s) browsing this thread: 1 Guest(s)