Guftagu
|
30-08-2011, 10:01 AM
(This post was last modified: 30-08-2011 11:12 AM by angel.)
![]() |
||||||||||||
|
||||||||||||
Guftagu
Edited by- 'shamsihammad'n 'Angel'
mai to ek adna sa zarra tha is zamane mei... jaane is dil ko shayari ka saleeqa kahan se aaya... ![]() Hum bhi to the fakeer hi ,dunaibhar ki najaro mein, phir kafir ruh ko ameeri ka tareeqa kahan se aaya!! sochta hun kabhi to khud bhi hairan ho jata hu mai... ki mujh be-aqal mei ye hunar-e-shayari kahan se aaya... ![]() Ye napaak zarra bhi ,hairaan hai dekh kar ...... is gair hungam-a-naz pe , koi kareebi kaha se aaya!! laakh koshish ki ki bhool jau tujhe zaalim, phir bhi khayal tera is dil ko badastoor kahan se aaya... ![]() haif dard mera...jo chod aaye the hum piche.... khushiyo ki is mehfil me ,aaj itni door kaha se aaya...!! tanha hain ab ye mehfile bhi... bheed mei ye akelepan ka suroor kahan se aaya.. ![]() suna tha har koi ...badsaah hota hai ishq me... phir main hi kambakhat ,is silsile me majboor kahan se aaya!! nahi koi ghareeb khuda ke darbaar mei, phir nazre-yaar mei, mai faqeer kahan se aaya... ![]() na main tha kisi ka, na tha mera hi koi... phir tu meri ruh ko bassane ...betaqdeer kaha se aaya!! ![]() |
||||||||||||
« Next Oldest | Next Newest »
|
User(s) browsing this thread: 1 Guest(s)